KHwab se nikli hui nazm
apnī javānī meñ
bikhrī huī qaus-e-quzah
ġhurūr meñ phūle hue phuul
ahrām-e-misr
yā ek ḳhūbsūrat mahbūba ke andar
ek hākim panaptā hai
har daur meñ
ek chālāk shaḳhs zarūr honā chāhiye
jo logoñ ko bad-sūratī se Darā kar mahzūz hotā rahe
ab maiñ ḳhūb-sūratī ke liye kyā likhūñ
yahī
ki taḳhlīqī mailān se zarā pahle
aur bahut der tak baa'd meñ
sirf ek hasīn ḳhvāb hotā hai
apni jawani mein
bikhri hui qaus-e-quzah
ghurur mein phule hue phul
ahram-e-misr
ya ek KHubsurat mahbuba ke andar
ek hakim panapta hai
har daur mein
ek chaalak shaKHs zarur hona chahiye
jo logon ko bad-surati se Dara kar mahzuz hota rahe
ab main KHub-surati ke liye kya likhun
yahi
ki taKHliqi mailan se zara pahle
aur bahut der tak ba'd mein
sirf ek hasin KHwab hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.