naġhmagī aarzū kī bikhrī hai
raat sharmā rahī hai apne se
hoñT ummīd ke phaḌakte haiñ
paañv hasrat ke laḌkhaḌāte haiñ
duur palkoñ se āñsuoñ ke qarīb
niiñd dāman sameTe baiThī hai
ḳhvāb ta.abīr ke shikasta dil
aaj phir joḌne ko aa.e haiñ
naghmagi aarzu ki bikhri hai
raat sharma rahi hai apne se
honT ummid ke phaDakte hain
panw hasrat ke laDkhaDate hain
dur palkon se aansuon ke qarib
nind daman sameTe baiThi hai
KHwab tabir ke shikasta dil
aaj phir joDne ko aae hain
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 50)
- Author : shaharyar
- Publication : educational book house (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.