KHwab sirf KHwab hain
1
shaam phir tere tasavvur se
mahak uTThī hai
raat hone ko hai
silsile
ḳhvāboñ ke
baaqī haiñ
abhī āñkhoñ meñ
2
raat ke pichhle pahar
mujh ko tirī yādoñ ne
bistar-e-ḳhvāb se
bedār kiyā
aur ehsās huā be-sar-o-sāmānī kā
sochtā huuñ ki mire paas
zinda rahne ke haiñ sāmān bahut
magar terī kamī
khaltī rahtī hai sadā
ek be-nām tasavvur kī tarah
1
sham phir tere tasawwur se
mahak uTThi hai
raat hone ko hai
silsile
KHwabon ke
baqi hain
abhi aankhon mein
2
raat ke pichhle pahar
mujh ko teri yaadon ne
bistar-e-KHwab se
bedar kiya
aur ehsas hua be-sar-o-samani ka
sochta hun ki mere pas
zinda rahne ke hain saman bahut
magar teri kami
khalti rahti hai sada
ek be-nam tasawwur ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.