KHwab
yaad
merā matlab hai
ek udaas kahānī kī ibtidā
ek thakī huī chiḌiyā kī āvāz
merā matlab hai
ek Thahrā huā aañsū
ek girā huā sitāra
merā matlab hai
dīvār se lipTā huā ek phuul
darvāze se girī huī ek kiil
merā matlab hai
ek phaTā huā naqsha
ek bhīgā huā qālīn
merā matlab hai
ḳhvāb
yaad
mera matlab hai
ek udas kahani ki ibtida
ek thaki hui chiDiya ki aawaz
mera matlab hai
ek Thahra hua aansu
ek gira hua sitara
mera matlab hai
diwar se lipTa hua ek phul
darwaze se giri hui ek kil
mera matlab hai
ek phaTa hua naqsha
ek bhiga hua qalin
mera matlab hai
KHwab
- Book : saarii nazmen (Pg. 195)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.