KHwabon ka shahar
ḳhvāboñ meñ hamāre naḳhl uge
unheñ ḳhaak milī ashjār hue
kāġhaz pe to rang the phīke se
phūloñ meñ saje gulzār hue
kabhī maidān apnī raah meñ the
kabhī koh pe ham ne ḳhirām kiyā
unhīñ manzaroñ meñ thā jo shahr basā
usī shahar ko ham ne imaam kiyā
KHwabon mein hamare naKHl uge
unhen KHak mili ashjar hue
kaghaz pe to rang the phike se
phulon mein saje gulzar hue
kabhi maidan apni rah mein the
kabhi koh pe hum ne KHiram kiya
unhin manzaron mein tha jo shahr basa
usi shahar ko hum ne imam kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.