KHwabon ke byopari
ham ḳhvāboñ ke byopārī the
par is meñ huā nuqsān baḌā
kuchh baḳht meñ Dheroñ kālak thī
kuchh ab ke ġhazab kā kaal paḌā
ham raakh liye haiñ jholī meñ
aur sar pe hai sāhūkār khaḌā
yaañ buuñd nahīñ hai Deve meñ
vo bāj-byāj kī baat kare
ham bāñjh zamīn ko takte haiñ
vo Dhor anaaj kī baat kare
ham kuchh din kī mohlat māñgeñ
vo aaj hī aaj kī baat kare
jab dhartī sahrā sahrā thī
ham dariyā dariyā ro.e the
jab haath kī rekhā.eñ chup thiiñ
aur sur sañgīt meñ so.e the
tab ham ne jīvan-khetī meñ
kuchh ḳhvāb anokhe bo.e the
kuchh ḳhvāb sajal muskānoñ ke
kuchh bol kabat dīvānoñ ke
kuchh lafz jinheñ ma.anī na mile
kuchh giit shikasta-jānoñ ke
kuchh niir vafā kī sham.oñ ke
kuchh par pāgal parvānoñ ke
par apnī ghāyal āñkhoñ se
ḳhush ho ke lahū chhiḌkāyā thā
maaTī meñ maas kī khaad bharī
aur nas nas ko zaḳhāmāyā thā
aur bhuul ga.e pichhlī rut meñ
kyā khoyā thā kyā paayā thā
har baar gagan ne vahm diyā
ab ke barkhā jab aa.egī
har biij se koñpal phūTegī
aur har koñpal phal lā.egī
sar par chhāyā chhatrī hogī
aur dhuup ghaTā ban jā.egī
jab fasl kaTī to kyā dekhā
kuchh dard ke TuuTe gajre the
kuchh zaḳhmī ḳhvāb the kāñToñ par
kuchh ḳhākistar se kajre the
aur duur ufuq ke sāgar meñ
kuchh Dolte Dūbte bajre the
ab paañv khaḌā.ūñ dhūl-bharī
aur jism pe jog kā cholā hai
sab sañgī sāthī bhed-bhare
koī maasa hai koī tolā hai
is taak meñ ye is ghaat meñ vo
har or Thagoñ kā Tolā hai
ab ghaaT na ghar dahlīz na dar
ab paas rahā hai kyā baabā
bas tan kī gaThrī baaqī hai
jā ye bhī tū le jā baabā
ham bastī chhoḌe jaate haiñ
tū apnā qarz chukā baabā
hum KHwabon ke byopari the
par is mein hua nuqsan baDa
kuchh baKHt mein Dheron kalak thi
kuchh ab ke ghazab ka kal paDa
hum rakh liye hain jholi mein
aur sar pe hai sahukar khaDa
yan bund nahin hai Dewe mein
wo baj-byaj ki baat kare
hum banjh zamin ko takte hain
wo Dhor anaj ki baat kare
hum kuchh din ki mohlat mangen
wo aaj hi aaj ki baat kare
jab dharti sahra sahra thi
hum dariya dariya roe the
jab hath ki rekhaen chup thin
aur sur sangit mein soe the
tab hum ne jiwan-kheti mein
kuchh KHwab anokhe boe the
kuchh KHwab sajal muskanon ke
kuchh bol kabat diwanon ke
kuchh lafz jinhen mani na mile
kuchh git shikasta-jaanon ke
kuchh nir wafa ki shamon ke
kuchh par pagal parwanon ke
par apni ghayal aankhon se
KHush ho ke lahu chhiDkaya tha
maTi mein mas ki khad bhari
aur nas nas ko zaKHamaya tha
aur bhul gae pichhli rut mein
kya khoya tha kya paya tha
har bar gagan ne wahm diya
ab ke barkha jab aaegi
har bij se konpal phuTegi
aur har konpal phal laegi
sar par chhaya chhatri hogi
aur dhup ghaTa ban jaegi
jab fasl kaTi to kya dekha
kuchh dard ke TuTe gajre the
kuchh zaKHmi KHwab the kanTon par
kuchh KHakistar se kajre the
aur dur ufuq ke sagar mein
kuchh Dolte Dubte bajre the
ab panw khaDaun dhul-bhari
aur jism pe jog ka chola hai
sab sangi sathi bhed-bhare
koi masa hai koi tola hai
is tak mein ye is ghat mein wo
har or Thagon ka Tola hai
ab ghaT na ghar dahliz na dar
ab pas raha hai kya baba
bas tan ki gaThri baqi hai
ja ye bhi tu le ja baba
hum basti chhoDe jate hain
tu apna qarz chuka baba
- Book : kulliyat-e-ahmad Faraz (Pg. 188)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.