KHwahish
bahut dinoñ se phuul kī ye ḳhvāhish thī ki uḌ paa.e
lutf rahegā jab vo apnī ḳhushī se aa.e jaa.e
isī phuul ne āḳhir ik din diyā shāḳh ko dhokā
tiilī ban hī gayā vo jab phir us ko kis ne rokā
har din baiTh ke sochā kartā dīpak kā ujyālā
maiñ parvāz jo kartā to ḳhushiyāñ ho jātīñ do-bālā
isī soch meñ āḳhir ik din pañkh us ne bhī paa.e
jugnū ban kar añdhiyāroñ meñ apnī chhab dikhlā.e
tālāboñ kā paanī soche gum-sum din kaTte haiñ
bahut maze meñ lekin panchhī gagan gagan uḌte haiñ
phir us paanī ne bhī ik din bhaap ke pañkh pasāre
lekin gahre bādal ke mele meñ jā kar baare
maiñ ye sochūñ ghoḌā ban ke maidāñ kar luuñ paar
kabhī ye sochūñ machhlī ban kar kāTūñ jal kī dhaar
kabhī ye sochūñ panchhī ban kar chhū luuñ niil gagan
kyā vo puurā hogā sochūñ jo bhī man hī man
bahut dinon se phul ki ye KHwahish thi ki uD pae
lutf rahega jab wo apni KHushi se aae jae
isi phul ne aaKHir ek din diya shaKH ko dhoka
tili ban hi gaya wo jab phir us ko kis ne roka
har din baiTh ke socha karta dipak ka ujyala
main parwaz jo karta to KHushiyan ho jatin do-baala
isi soch mein aaKHir ek din pankh us ne bhi pae
jugnu ban kar andhiyaron mein apni chhab dikhlae
talabon ka pani soche gum-sum din kaTte hain
bahut maze mein lekin panchhi gagan gagan uDte hain
phir us pani ne bhi ek din bhap ke pankh pasare
lekin gahre baadal ke mele mein ja kar bare
main ye sochun ghoDa ban ke maidan kar lun par
kabhi ye sochun machhli ban kar kaTun jal ki dhaar
kabhi ye sochun panchhi ban kar chhu lun nil gagan
kya wo pura hoga sochun jo bhi man hi man
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.