KHwahish ka azab
aur phir ek din
jism meñ chīḳhtī ḳhvāhisheñ
be-sadā ho ga.iiñ
jab daraḳhtoñ se laTke hue
ḳhauf ke saañp
zahr nākāmiyoñ kā ugalne lage
gaañv kī suunī pagDanDī ke moḌ par
hausloñ ko mire kuchh milī raushnī
phir achānak
añdhere kī jhāḌī se niklī huī
sarsarāhaT ne pighlā diye
ḳhvāhishoñ ke sulagte badan
aur phir ek din
jism mein chiKHti KHwahishen
be-sada ho gain
jab daraKHton se laTke hue
KHauf ke sanp
zahr nakaamiyon ka ugalne lage
ganw ki suni pagDanDi ke moD par
hauslon ko mere kuchh mili raushni
phir achanak
andhere ki jhaDi se nikli hui
sarsarahaT ne pighla diye
KHwahishon ke sulagte badan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.