KHwahish ka jurm
us ne ḳhvāhish kī to vo zāhir huā
rañg tārīkī se nikle aur sadā dene lage
saaya saaya ho ga.ī kaalī guphā kī tīrgī
aur har manzar numāyāñ ho gayā
maiñ bhī thā ik raushnī aur tīrgī ke darmiyāñ
mujh ko bhī zālim havā ne Das liyā
aur maiñ bhī zindagī kī aag meñ jalte lagā
ḳhāk-o-ḳhūñ ke rañg meñ Dhalne lagā
us ne ḳhvāhish kī to us ko maut ke saa.e mile
maiñ ne ḳhvāhish kī to mujh ko jism kā maqtal milā
us ne KHwahish ki to wo zahir hua
rang tariki se nikle aur sada dene lage
saya saya ho gai kali gupha ki tirgi
aur har manzar numayan ho gaya
main bhi tha ek raushni aur tirgi ke darmiyan
mujh ko bhi zalim hawa ne Das liya
aur main bhi zindagi ki aag mein jalte laga
KHak-o-KHun ke rang mein Dhalne laga
us ne KHwahish ki to us ko maut ke sae mile
main ne KHwahish ki to mujh ko jism ka maqtal mila
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-267 p-255)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore ( 1967 )
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.