KHwahish ka shor
maiñ us nagar kī talāsh meñ huuñ
jahāñ pe har shaam chāñd kī god se fazāoñ meñ phuul utreñ
Dagar Dagar kī udaas ḳhushbū diloñ ko mīThā sā dard baḳhshe
nashe meñ khoī sī mast sāñsoñ meñ
ḳhvāhishoñ kā udaas dhīmā sā shor
āñkhoñ meñ aarzū kī kathā kahānī
larazte aañsū ḳhamosh ma.asūm dhaḌkanoñ kī zabān kholeñ
bahār se āñchaloñ ke saa.e meñ
Dāliyoñ sī machaltī bāñheñ sukūn bhar ek aasrā huuñ
aur aise sone samay kī rut meñ
in āñsuoñ ke ḳhamosh meloñ dukhoñ ke nāshād jamghaToñ meñ
ye ek dil dūsre se hargiz bichhaḌ na paa.e
main us nagar ki talash mein hun
jahan pe har sham chand ki god se fazaon mein phul utren
Dagar Dagar ki udas KHushbu dilon ko miTha sa dard baKHshe
nashe mein khoi si mast sanson mein
KHwahishon ka udas dhima sa shor
aankhon mein aarzu ki katha kahani
larazte aansu KHamosh masum dhaDkanon ki zaban kholen
bahaar se aanchalon ke sae mein
Daliyon si machalti banhen sukun bhar ek aasra hun
aur aise sone samay ki rut mein
in aansuon ke KHamosh melon dukhon ke nashad jamghaTon mein
ye ek dil dusre se hargiz bichhaD na pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.