KHwahish
ḳhvāhisheñ kam nahīñ hoñgī
jo tum chāho to aazmā lo
sāñseñ thamtī nahīñ haiñ ḳhvāboñ kī
chāhe jahāñ bhī dafnā lo
maiñ tujh meñ tujh sā hī huuñ kahīñ
zarā DhūñDho zarā jaano
phir tum faisla lenā
ki chhoḌoge yā apnā lo
kahoge kuchh na tum ham se
chalo is baat ko maanā
par ḳhud se to na yuuñ rūTho
yā sīkho bhī manānā
rahūñgā maiñ to yahīñ kahīñ
tere dāman kā aañsū huuñ
ḳhushī meñ yaad tum karnā
ġham ko ab aur na paalo
sāñseñ thamtī nahīñ haiñ ḳhvāboñ kī
chāhe jahāñ bhī dafnā lo
chaloge mujh sañg ab na tum
kahāñ aatā hai nibhānā
par khud ke saath to Thahro
suno pīchhe nahīñ aanā
tum mujh ko jānoge ek din
yaqīñ ye khud ko dilā lo
ye vaqt samjhā ke rahtā hai
chāhe kitnā bhī tum Taalo
sāñseñ thamtī nahīñ haiñ ḳhvāboñ kī
chāhe jahāñ bhī dafnā lo
KHwahishen kam nahin hongi
jo tum chaho to aazma lo
sansen thamti nahin hain KHwabon ki
chahe jahan bhi dafna lo
main tujh mein tujh sa hi hun kahin
zara DhunDho zara jaano
phir tum faisla lena
ki chhoDoge ya apna lo
kahoge kuchh na tum hum se
chalo is baat ko mana
par KHud se to na yun ruTho
ya sikho bhi manana
rahunga main to yahin kahin
tere daman ka aansu hun
KHushi mein yaad tum karna
gham ko ab aur na palo
sansen thamti nahin hain KHwabon ki
chahe jahan bhi dafna lo
chaloge mujh sang ab na tum
kahan aata hai nibhana
par khud ke sath to Thahro
suno pichhe nahin aana
tum mujh ko jaanoge ek din
yaqin ye khud ko dila lo
ye waqt samjha ke rahta hai
chahe kitna bhi tum Talo
sansen thamti nahin hain KHwabon ki
chahe jahan bhi dafna lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.