KHwahish
ek ajiib ḳhvāhish hai
is zamīñ ke kone meñ
sirf mah-jabīnoñ kī
sab kī sab hasīnoñ kī
apnī ek bastī ho
zindagī jahāñ har pal khilkhilā ke hañstī ho
rañg-o-nūr kī bārish
har ghaḌī barastī ho
sab ġhazāl-nainoñ meñ
shoḳh sī sharārat ho
in kī jumbish-e-lab se
zindagī ibārat ho
ḳhushiyoñ kā jhamelā ho
palkoñ pe sitāre hoñ
raushnī kā relā ho
ḳhushbuoñ kā mela ho
aur mah-jabīnoñ kī is hasīn bastī meñ
ek sirf merā hī
chūḌiyoñ kā Thela ho
ek ajib KHwahish hai
is zamin ke kone mein
sirf mah-jabinon ki
sab ki sab hasinon ki
apni ek basti ho
zindagi jahan har pal khilkhila ke hansti ho
rang-o-nur ki barish
har ghaDi barasti ho
sab ghazal-nainon mein
shoKH si shararat ho
in ki jumbish-e-lab se
zindagi ibarat ho
KHushiyon ka jhamela ho
palkon pe sitare hon
raushni ka rela ho
KHushbuon ka mela ho
aur mah-jabinon ki is hasin basti mein
ek sirf mera hi
chuDiyon ka Thela ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.