KHwahishen
ḳhvāhisheñ
laal piilī harī chādareñ oḌh kar
thartharātī thiraktī huī jaag uThīñ
jaag uThī dil kī indr-sabhā
dil kī nīlam-parī jaag uThī
dil kī pukhrāj
letī hai añgḌā.iyāñ jaam meñ
jaam meñ tere māthe kā saaya girā
ghul gayā
chāñdnī ghul ga.ī
tere hoñToñ kī laalī
tirī narmiyāñ ghul ga.iiñ
raat kī an-kahī an-sunī dāstāñ
ghul ga.ī jaam meñ
ḳhvāhisheñ
laal piilī harī chādareñ oḌh kar
thartharātī thiraktī huī jaag uThīñ
KHwahishen
lal pili hari chadaren oDh kar
thartharaati thirakti hui jag uThin
jag uThi dil ki indr-sabha
dil ki nilam-pari jag uThi
dil ki pukhraj
leti hai angDaiyan jam mein
jam mein tere mathe ka saya gira
ghul gaya
chandni ghul gai
tere honTon ki lali
teri narmiyan ghul gain
raat ki an-kahi an-suni dastan
ghul gai jam mein
KHwahishen
lal pili hari chadaren oDh kar
thartharaati thirakti hui jag uThin
- Book : Kulliyat-e-Makhdum Muhi-ud-din (Pg. 216)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.