Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ki main andhe KHalaon se bani patal ka maqsum Thahri

Parveen Tahir

ki main andhe KHalaon se bani patal ka maqsum Thahri

Parveen Tahir

MORE BYParveen Tahir

    magar ai raushnī

    ai kā.enātī raushnī

    in sūrajoñ tāroñ zamīnoñ

    kahkashāoñ ke liye dil meñ

    tirā nūr-e-mohabbat ek jaisā hai

    mujhe pātāl se khīñchā

    mirā mailā badan dhoyā

    ulūhī gher meñ le kar

    mirī in ḳhushk jhīloñ ko

    muqaddas āñsuoñ se

    phir shanāsā kar diyā

    ai raushnī

    in ḳhushk jhīloñ ke kināroñ par

    tirī halkī shabnam se

    tire shītal jhapāke meñ chhupī

    mīThī harārat se

    maiñ sarmā ke gulāboñ

    koī be-ant khetī ḳhud ugā lūñgī

    ki mujh meñ sūrajoñ ke zulm sahne

    sakat baaqī nahīñ

    magar ai raushni

    ai kaenati raushni

    in surajon taron zaminon

    kahkashaon ke liye dil mein

    tera nur-e-mohabbat ek jaisa hai

    mujhe patal se khincha

    mera maila badan dhoya

    uluhi gher mein le kar

    meri in KHushk jhilon ko

    muqaddas aansuon se

    phir shanasa kar diya

    ai raushni

    in KHushk jhilon ke kinaron par

    teri halki si shabnam se

    tere shital jhapake mein chhupi

    miThi hararat se

    main sarma ke gulabon ki

    koi be-ant kheti KHud uga lungi

    ki mujh mein surajon ke zulm sahne ki

    sakat baqi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now