kināre par koī aayā thā jis kā ḳhālī bajrā Doltā rahtā hai paanī par
koī utrā thā bajre se
vo māñjhī hogā jis ke paañv ke maddham nishāñ ab tak dikhā.ī de rahe haiñ giile sāhil par
gayā thā kahkashāñ ke paar ye kah kar
abhī aatā huuñ Thahro us kināre par zarā maiñ dekh luuñ kyā hai
ye bajrā Doltā rahtā hai is Thahre hue dariyā ke paanī par
vo lauTegā yā maiñ jā.ūñ
mujhe us paar jaanā hai
kinare par koi aaya tha jis ka KHali bajra Dolta rahta hai pani par
koi utra tha bajre se
wo manjhi hoga jis ke panw ke maddham nishan ab tak dikhai de rahe hain gile sahil par
gaya tha kahkashan ke par ye kah kar
abhi aata hun Thahro us kinare par zara main dekh lun kya hai
ye bajra Dolta rahta hai is Thahre hue dariya ke pani par
wo lauTega ya main jaun
mujhe us par jaana hai
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 357)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.