kirae ke KHwab
ab to is bāzār meñ
ḳhvāboñ kī ek dūkān
dikhā.ī detī hai
Tañge rahte haiñ ka.ī
ḳhūbsūrat se ḳhvāb
uThā kar chehre pe lagā lo
aur jī lo use
ye ḳhvāb jo Tañge rahte haiñ
is dūkān meñ
un ko vahīñ utaar ke
vāpas rakhnā paḌtā hai
kirāya lagtā hai un ko jiine kā
ye ḳhvāb
kisī kī jeboñ meñ nahīñ samāte
ab to is bazar mein
KHwabon ki ek dukan
dikhai deti hai
Tange rahte hain kai
KHubsurat se KHwab
uTha kar chehre pe laga lo
aur ji lo use
ye KHwab jo Tange rahte hain
is dukan mein
un ko wahin utar ke
wapas rakhna paDta hai
kiraya lagta hai un ko jine ka
ye KHwab
kisi ki jebon mein nahin samate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.