kis ki bad-gumani par
husn ko bad-gumān rahne de
rāz-e-dil rāz-dān rahne de
nigah-e-nīm kash kī umr darāz
naubat ik darmiyān rahne de
hasrat-e-unfavān-e-rāz-o-niyāz
ruuh par hukmarān rahne de
ishq kī kā.enāt hai hirmāñ
aarzū kā ziyān rahne de
naqsh-e-nā-kuda ke tasavvur kā
ye miTā sā nishān rahne de
qismat-e-ishq to hai qismat-e-ishq
baare mannat kī shaan rahne de
nā-sazā-vāriyoñ kā kyā kahnā
bas inheñ mehrbān rahne de
haañ mujhe ḳhud hai e'tirāf-e-shikast
ab mirā imtihān rahne de
va.ada-e-shauq thā fareb-āmez
bas use rā.egān rahne de
dost kis kis kā thā dil-e-be-dost
ye zubūñ dāstān rahne de
hadiye kyā kyā diye the kis kis ko
sharh ye qissa-ḳhvān rahne de
mere tahtush-shu.ūr kī duniyā
tah-nashīñ aur nihān rahne de
rahī kin gul-ruḳhoñ se sheftagī
ab ye sheva bayān rahne de
bhuul phūloñ kī pyaar shāhīñ kā
svāñg ye gul-fishān rahne de
hai jahāñ gard aur hijāz-parast
lā-ubālī javān rahne de
ġhāyat-e-āshiqī havas-kārī
hai bajā merī jaan rahne de
shauq thā shauq tā-ġhubār-e-gumāñ
miT chukā vo jahān rahne de
husn ko bad-guman rahne de
raaz-e-dil raaz-dan rahne de
nigah-e-nim kash ki umr daraaz
naubat ek darmiyan rahne de
hasrat-e-unfawan-e-raaz-o-niyaz
ruh par hukmaran rahne de
ishq ki kaenat hai hirman
aarzu ka ziyan rahne de
naqsh-e-na-kuda ke tasawwur ka
ye miTa sa nishan rahne de
qismat-e-ishq to hai qismat-e-ishq
bare mannat ki shan rahne de
na-saza-wariyon ka kya kahna
bas inhen mehrban rahne de
han mujhe KHud hai e'tiraf-e-shikast
ab mera imtihan rahne de
wada-e-shauq tha fareb-amez
bas use raegan rahne de
dost kis kis ka tha dil-e-be-dost
ye zubun dastan rahne de
hadiye kya kya diye the kis kis ko
sharh ye qissa-KHwan rahne de
mere tahtush-shuur ki duniya
tah-nashin aur nihan rahne de
rahi kin gul-ruKHon se sheftagi
ab ye shewa bayan rahne de
bhul phulon ki pyar shahin ka
swang ye gul-fishan rahne de
hai jahan gard aur hijaz-parast
la-ubaali jawan rahne de
ghayat-e-ashiqi hawas-kari
hai baja meri jaan rahne de
shauq tha shauq ta-ghubar-e-guman
miT chuka wo jahan rahne de
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 130)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.