kisan
chiir ke saal meñ do baar zamīñ kā siina
dafn ho jaatā huuñ
gudgudāte haiñ jo sūraj ke sunahre nāḳhun
phir nikal aatā huuñ
ab nikaltā huuñ to itnā ki baTore jo koī dāman meñ
dāman phaT jaa.e
ghar ke jis kone meñ le jā ke koī rakh de mujhe
bhuuk vahāñ se haT jaa.e
phir mujhe pīste haiñ, gūñdhte haiñ, señkte haiñ
gūñdhne señkne meñ shakl badal jaatī hai
aur ho jaatī hai mushkil pahchān
phir bhī rahtā huuñ kisān
vahī ḳhasta, bad-hāl
qarz ke panja-e-ḳhūnīñ meñ niDhāl
is darāñtī ke tufail
kuchh hai maazī se ġhanīmat mirā haal
haal se hogā hasīñ istiqbāl
uThte sūraj ko zarā dekho to
ho gayā saarā ufuq lālñ-lāl
chir ke sal mein do bar zamin ka sina
dafn ho jata hun
gudgudate hain jo suraj ke sunahre naKHun
phir nikal aata hun
ab nikalta hun to itna ki baTore jo koi daman mein
daman phaT jae
ghar ke jis kone mein le ja ke koi rakh de mujhe
bhuk wahan se haT jae
phir mujhe piste hain, gundhte hain, senkte hain
gundhne senkne mein shakl badal jati hai
aur ho jati hai mushkil pahchan
phir bhi rahta hun kisan
wahi KHasta, bad-haal
qarz ke panja-e-KHunin mein niDhaal
is daranti ke tufail
kuchh hai mazi se ghanimat mera haal
haal se hoga hasin istiqbaal
uThte suraj ko zara dekho to
ho gaya sara ufuq laln-lal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.