kisi aaine ka
maiñ ḳhud kā ta.āruf kyā de saktā huuñ
ā.īna jab mujh ko merā hī chehra dikhlātā hai
jaise merā chehra merā nahīñ ā.īne kā hai
lekin jis kā chehra apnā hotā hai
vāqa.ī us kā chehra hotā hai
ā.īne aise chehre ko dikhlāne se aajiz hotā hai
vo us chehre ko mun.akis kartā hai
kyuuñ ki jo chehra, chehra hotā hai
muhtāj nahīñ vo hotā hai
kisī ā.īne kā
kisī vasīle kā
main KHud ka taaruf kya de sakta hun
aaina jab mujh ko mera hi chehra dikhlata hai
jaise mera chehra mera nahin aaine ka hai
lekin jis ka chehra apna hota hai
waqai us ka chehra hota hai
aaine aise chehre ko dikhlane se aajiz hota hai
wo us chehre ko munakis karta hai
kyun ki jo chehra, chehra hota hai
muhtaj nahin wo hota hai
kisi aaine ka
kisi wasile ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.