kitab
har dam ilm sikhātī hai
aql ke raaz batātī hai
pyārā naam kitāb hai us kā
ma.alūmāt baḌhātī hai
koī bachcha ho yā būḌhā
sab ko yaksāñ bhātī hai
daadā abbā mol agar leñ
pote ke kaam aatī hai
ghar baiThe hī duniyā bhar kī
ham ko sair karātī hai
agle vaqtoñ ke logoñ kā
saarā haal sunātī hai
is kī dānā.ī to dekho
jo pūchho samjhātī hai
jāhil se jāhil ko āḳhir
qābil shaḳhs banātī hai
har daftar ke har afsar ko
ye parvān chaḌhātī hai
dil kī āñkheñ raushan karke
haq kī raah dikhātī hai
paḌhne vaale ḳhush hote haiñ
un kā rañj miTātī hai
tanhā.ī meñ hamdam ban kar
'faiz' hameñ pahuñchātī hai
har dam ilm sikhati hai
aql ke raaz batati hai
pyara nam kitab hai us ka
malumat baDhati hai
koi bachcha ho ya buDha
sab ko yaksan bhati hai
dada abba mol agar len
pote ke kaam aati hai
ghar baiThe hi duniya bhar ki
hum ko sair karaati hai
agle waqton ke logon ka
sara haal sunati hai
is ki danai to dekho
jo puchho samjhati hai
jahil se jahil ko aaKHir
qabil shaKHs banati hai
har daftar ke har afsar ko
ye parwan chaDhati hai
dil ki aankhen raushan karke
haq ki rah dikhati hai
paDhne wale KHush hote hain
un ka ranj miTati hai
tanhai mein hamdam ban kar
'faiz' hamein pahunchati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.