kitab ka kiDa
diq tujh se kitābeñ haiñ bahut karam kitābī
tū dushman-e-duzdīda hai ḳhākī ho ki aabī
alfāz kī khetī hai faqat terī charā-gāh
ma.anī kī zamīñ tere sab sāyoñ ne daabī
hone ko tirī asl hai sayyād makīñ-gāh
kahne ko faqat terī haqīqat hai sarābī
tū ne to har ik samt lagā.ī haiñ surañgeñ
pārīna ho farmān kitābeñ huuñ nisābī
bādāmī ho kāġhaz to mazā aur hī kuchh hai
luqma huā tahrīr kā har maġhz shitābī
ghun saath hī gehūñ ke hai pista huā dekhā
bargashta varaq lā na sakā tujh pe ḳharābī
kyā ḳhuub hai ye majlis-e-aurāq-e-kuhan bhī
vīrān kutub-ḳhānoñ kī dīmak tirī loby
firdausī-o-ḳhuldūñ kī kitābeñ haiñ hirāsāñ
vo qil.a-e-ma.anī terā hamla hai javābī
parda hai ḳhamoshī tirī āhañg-e-fanā kī
bhauñrā hai faqat kunj-e-gulistāñ kā rabābī
tū chaaT gayā dānish-e-kohna kī fasīleñ
buniyād-e-imārat ko hai Dhānā tirī hobby
a.adād ke qālib meñ hai to sifr kī tāqat
safhāt ke sūrāḳh kā be-nām hisābī
tārīḳh ke is cell meñ insān ne paa.ī
ek aadh koī mauj-e-nafs vo bhī habābī
bikte sar-e-bāzār haiñ mānind-e-zaġhāl aaj
jo tāza-nafas ḳhvāb-e-taġhayyur the shahābī
khā jaatī hai ik din use sab gard-e-zamāna
miTTī kī vo sahnak ho ki chīnī kī rakābī
badlī huī duniyā meñ taġhayyur kā amal hai
tū kirm-e-kitābī nahīñ ik kirm-e-ḳhalal hai
diq tujh se kitaben hain bahut karam kitabi
tu dushman-e-duzdida hai KHaki ho ki aabi
alfaz ki kheti hai faqat teri chara-gah
mani ki zamin tere sab sayon ne dabi
hone ko teri asl hai sayyaad makin-gah
kahne ko faqat teri haqiqat hai sarabi
tu ne to har ek samt lagai hain surangen
parina ho farman kitaben hun nisabi
baadami ho kaghaz to maza aur hi kuchh hai
luqma hua tahrir ka har maghz shitabi
ghun sath hi gehun ke hai pista hua dekha
bargashta waraq la na saka tujh pe KHarabi
kya KHub hai ye majlis-e-auraq-e-kuhan bhi
viran kutub-KHanon ki dimak teri loby
firdausi-o-KHuldun ki kitaben hain hirasan
wo qila-e-mani tera hamla hai jawabi
parda hai KHamoshi teri aahang-e-fana ki
bhaunra hai faqat kunj-e-gulistan ka rababi
tu chaT gaya danish-e-kohna ki fasilen
buniyaad-e-imarat ko hai Dhana teri hobby
aadad ke qalib mein hai to sifr ki taqat
safhat ke suraKH ka be-nam hisabi
tariKH ke is cell mein insan ne pai
ek aadh koi mauj-e-nafs wo bhi hababi
bikte sar-e-bazar hain manind-e-zaghaal aaj
jo taza-nafas KHwab-e-taghayyur the shahabi
kha jati hai ek din use sab gard-e-zamana
miTTi ki wo sahnak ho ki chini ki rakabi
badli hui duniya mein taghayyur ka amal hai
tu kirm-e-kitabi nahin ek kirm-e-KHalal hai
- Book : siip (Magzin) (Pg. 154)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau ( 39 (Quarterly) )
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.