kitaben
samajhtā hai ise saarā zamāna
kitābeñ ilm-o-hikmat kā ḳhazāna
diloñ kā nuur haiñ achchhī kitābeñ
charāġh-e-tūr haiñ achchhī kitābeñ
hamārī mūnis o ġham-ḳhvār haiñ ye
jihād-e-ilm kī lalkār haiñ ye
kitābeñ kyā haiñ rūhānī ḳhudā haiñ
sakūñ dil kā davāoñ kī davā haiñ
hamārī kyuuñ na ho manzil kitābeñ
rasūloñ par huiiñ nāzil kitābeñ
kitāboñ se hai jis kī āshnā.ī
baḌī daulat jahāñ meñ us ne paa.ī
kitābeñ kāmyābī kā haiñ ziina
rakheñ ābād ye dil kā madīna
kitāboñ kī rifāqat bhī ajab hai
ta.alluq toḌnā in se ġhazab hai
sadāqat kā yahī rasta dikhā.eñ
buroñ ko bhī yahī achchhā banā.eñ
sikhātī haiñ ye jiine kā tarīqa
batātī haiñ hameñ kyā hai salīqa
kisī ne muñh kitāboñ se jo pherā
yaqīnan us ko zillat ne hai gherā
kitāboñ se agar ḳhālī makāñ hai
vo hai bhūtoñ kā maskan ghar kahāñ hai
kitāboñ se halāvat guftugū meñ
sharāfat kā asar baaqī lahū meñ
kitāboñ se jahāñ meñ naam zinda
hamārī sub.h zinda shaam zinda
kitāboñ se sadā rishta baḌhāo
isī meñ zindagī apnī lagāo
samajhta hai ise sara zamana
kitaben ilm-o-hikmat ka KHazana
dilon ka nur hain achchhi kitaben
charagh-e-tur hain achchhi kitaben
hamari munis o gham-KHwar hain ye
jihad-e-ilm ki lalkar hain ye
kitaben kya hain ruhani KHuda hain
sakun dil ka dawaon ki dawa hain
hamari kyun na ho manzil kitaben
rasulon par huin nazil kitaben
kitabon se hai jis ki aashnai
baDi daulat jahan mein us ne pai
kitaben kaamyabi ka hain zina
rakhen aabaad ye dil ka madina
kitabon ki rifaqat bhi ajab hai
talluq toDna in se ghazab hai
sadaqat ka yahi rasta dikhaen
buron ko bhi yahi achchha banaen
sikhati hain ye jine ka tariqa
batati hain hamein kya hai saliqa
kisi ne munh kitabon se jo phera
yaqinan us ko zillat ne hai ghera
kitabon se agar KHali makan hai
wo hai bhuton ka maskan ghar kahan hai
kitabon se halawat guftugu mein
sharafat ka asar baqi lahu mein
kitabon se jahan mein nam zinda
hamari subh zinda sham zinda
kitabon se sada rishta baDhao
isi mein zindagi apni lagao
- Book : Bachchon Ka Bagh (Pg. 21)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.