kitaben tum se achchhi hain
kitābeñ tum se achchhī haiñ
sirhāne ke bahut nazdīk jo
is tarah merī muntazir rahtī haiñ jaise
koī laḌkī ḳhvāb kī dahlīz se
anjān shahzāde kī rāheñ dekhtī ho
kitābeñ tum se achchhī haiñ
ki jab maiñ shaam ko
din bhar mashaqqat kar ke un ke paas aatā huuñ
to ye apnī qabā.eñ khol kar
alfāz kī ḳhushbū basātī
merī bāñhoñ meñ samātī haiñ
ye merī aañkh meñ ḳhush-rang nazzāre samo kar
mere hoñToñ par
sadā-e-harf rakhtī haiñ
to yuuñ mahsūs hotā hai
ki jaise qaaf kī koī parī
hoñToñ pe mere
apnī nāzuk uñgliyoñ kā lams rakhtī ho
kitābeñ tum se achchhī haiñ
maiñ jis mauzūa par chāhūñ
ye mujh se baat kartī haiñ
milā kar mere shāne se ye shāna
āgahī ke rāste par saath chaltī haiñ
kitābeñ tum se achchhī haiñ
mirī āñkhoñ kī be-ḳhvābī samajhtī haiñ
so mujh ko loriyāñ de kar
mirī nīñdoñ ko ḳhvāboñ se sajātī haiñ
mire siine pe sar rakh kar
mujhe furqat ke zholīda ḳhayāloñ se bachātī haiñ
kitaben tum se achchhi hain
sirhane ke bahut nazdik jo
is tarah meri muntazir rahti hain jaise
koi laDki KHwab ki dahliz se
anjaan shahzade ki rahen dekhti ho
kitaben tum se achchhi hain
ki jab main sham ko
din bhar mashaqqat kar ke un ke pas aata hun
to ye apni qabaen khol kar
alfaz ki KHushbu basati
meri banhon mein samati hain
ye meri aankh mein KHush-rang nazzare samo kar
mere honTon par
sada-e-harf rakhti hain
to yun mahsus hota hai
ki jaise qaf ki koi pari
honTon pe mere
apni nazuk ungliyon ka lams rakhti ho
kitaben tum se achchhi hain
main jis mauzua par chahun
ye mujh se baat karti hain
mila kar mere shane se ye shana
aagahi ke raste par sath chalti hain
kitaben tum se achchhi hain
meri aankhon ki be-KHwabi samajhti hain
so mujh ko loriyan de kar
meri nindon ko KHwabon se sajati hain
mere sine pe sar rakh kar
mujhe furqat ke zholida KHayalon se bachati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.