kitabi kiDe
ek nazm se
dūsrī nazm tak jaane meñ
vo ziyāda vaqt nahīñ lete
agar kahīñ likhā huā ho
dariyā
aur us ke ba.ad koī pul na ho
tab inheñ koī nahīñ rok saktā
vo bahut tez tez chalte hue
sadā bahār phūloñ ke nāmoñ se
ḳhizāñ meñ girne vaale
āḳhirī pate tak jā pahuñchte haiñ
agar hamārī nazmoñ kā shā.ir
kisī kahānī meñ
apnī mahbūba se āḳhirī baar mil rahā ho
yā kisī Drāme meñ use pahlī daf.a dekh rahā ho
unheñ ziyāda der nahīñ lagtī
mohabbat ko ḳhatm karte hue
stage ko dīmak lagāte hue
ek nazm se
dusri nazm tak jaane mein
wo ziyaada waqt nahin lete
agar kahin likha hua ho
dariya
aur us ke baad koi pul na ho
tab inhen koi nahin rok sakta
wo bahut tez tez chalte hue
sada bahaar phulon ke namon se
KHizan mein girne wale
aaKHiri pate tak ja pahunchte hain
agar hamari nazmon ka shair
kisi kahani mein
apni mahbuba se aaKHiri bar mil raha ho
ya kisi Drame mein use pahli dafa dekh raha ho
unhen ziyaada der nahin lagti
mohabbat ko KHatm karte hue
stage ko dimak lagate hue
- Book : saarii nazmen (Pg. 79)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.