kitna mushkil hai
maiñ sun rahā huuñ
maiñ sun rahā huuñ
tumhārī āñkhoñ kā shor
tumhāre masāmoñ se buuñd buuñd Tapaktī huī āvāzeñ
tumhārī chhātiyoñ kī niilī niilī lakīroñ ke darmiyān
kunmunāte hue bachchoñ kī sargoshiyāñ
palak jhapakte hī
shahr kā shahr hijrat kar gayā
paḌāv Daal diye ga.e vahāñ
jahāñ koī mausam nahīñ hotā
daraḳht parindoñ se ḳhālī
bachchoñ ko niiñd nahīñ aatī
kuchh rūnumā nahīñ hotā
chīzoñ ne apne ma.amūl badal diye haiñ
rasūl aate haiñ aur be-bayān chale jaate haiñ
ḳhudā kī bastiyāñ kabhī itnī vīrān nahīñ huī thiiñ
ab tum aaoge
to dekhoge
vaqt,
jahāñ tahāñ se phaT gayā hai
use apnī raah par laanā
kitnā āsān hai kitnā mushkil
un sā.atoñ par kamandeñ Dālnā
jinhoñ ne mauqa.a pā kar apnī raftār pakaḌ lī
dekhte hī dekhte
dūsrī ābādiyoñ kī taraf nikal ga.iiñ
bujhī huī raakh ke Dher meñ
tasalliyāñ muñh bisore hue paḌī haiñ
amaltās kī sūkhī shāḳhoñ par
Tañge hue haiñ sabr ke chīthḌe
purzoñ meñ badal chuke haiñ
ārzūoñ ke be-pāyāñ tasalsul
Dhā chuke haiñ
andar hī andar shīr-ḳhār ummīdoñ ke Tiile
jinheñ dekh kar
tumheñ yaad aa.egā
rishtoñ ke bharam kitne saffāk hote haiñ
kitne pur-zor hote haiñ vāste
jo TūTte haiñ
to un meñ se ek chīḳh bhī barāmad nahīñ hotī
saarā jahān hī TuuT, bikhar jaatā hai
gardish karte hue ḳhuun meñ
barf kī kīleñ gaḌ jaatī haiñ
jaise saarā jism hī aa gayā ho
kisī sarkash āñdhī kī zad meñ
aur ek ek kar ke
haDDiyoñ ke saare joḌ hī khulte jā rahe hoñ
bikharte jā rahe hoñ saare masām
girte jā rahe hoñ
ham un chauhaḌoñ par
jahāñ sirf ḳhvāboñ ke biij bo.e jaate haiñ
aur fasl ke naam par
hāfize ke azaab numū paate haiñ
jaise ham ek aziim hijr kī paidāvār haiñ
umreñ dukhoñ ke hisāb se tavīl
dukh dushman kī bedār nigāhoñ se ziyāda zinda
apne kāñdhoñ par
apnī sāñsoñ ke ḳhamiyāze haiñ
aur maiñ
apnī hī nīndoñ meñ dauḌte dauḌte thak gayā huuñ
main sun raha hun
main sun raha hun
tumhaari aankhon ka shor
tumhaare masamon se bund bund Tapakti hui aawazen
tumhaari chhatiyon ki nili nili lakiron ke darmiyan
kunmunate hue bachchon ki sargoshiyan
palak jhapakte hi
shahr ka shahr hijrat kar gaya
paDaw Dal diye gae wahan
jahan koi mausam nahin hota
daraKHt parindon se KHali
bachchon ko nind nahin aati
kuchh runuma nahin hota
chizon ne apne mamul badal diye hain
rasul aate hain aur be-bayan chale jate hain
KHuda ki bastiyan kabhi itni viran nahin hui thin
ab tum aaoge
to dekhoge
waqt,
jahan tahan se phaT gaya hai
use apni rah par lana
kitna aasan hai kitna mushkil
un saaton par kamanden Dalna
jinhon ne mauqa pa kar apni raftar pakaD li
dekhte hi dekhte
dusri aabaadiyon ki taraf nikal gain
bujhi hui rakh ke Dher mein
tasalliyan munh bisore hue paDi hain
amaltas ki sukhi shaKHon par
Tange hue hain sabr ke chithDe
purzon mein badal chuke hain
aarzuon ke be-payan tasalsul
Dha chuke hain
andar hi andar shir-KHar ummidon ke Tile
jinhen dekh kar
tumhein yaad aaega
rishton ke bharam kitne saffak hote hain
kitne pur-zor hote hain waste
jo TuTte hain
to un mein se ek chiKH bhi baramad nahin hoti
sara jahan hi TuT, bikhar jata hai
gardish karte hue KHun mein
barf ki kilen gaD jati hain
jaise sara jism hi aa gaya ho
kisi sarkash aandhi ki zad mein
aur ek ek kar ke
haDDiyon ke sare joD hi khulte ja rahe hon
bikharte ja rahe hon sare masam
girte ja rahe hon
hum un chauhaDon par
jahan sirf KHwabon ke bij boe jate hain
aur fasl ke nam par
hafize ke azab numu pate hain
jaise hum ek azim hijr ki paidawar hain
umren dukhon ke hisab se tawil
dukh dushman ki bedar nigahon se ziyaada zinda
apne kandhon par
apni sanson ke KHamiyaze hain
aur main
apni hi nindon mein dauDte dauDte thak gaya hun
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 216)
- Author : ateequllah
- Publication : urdu academy (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.