Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kiwaD

MORE BYSalahuddin Mahmood

    sonā

    so kar niiñd meñ khonā

    band karo

    ye band karo

    apne bachpan ko

    baat baat par

    ġhairoñ shunavā.ī meñ

    phir bonā

    band karo

    tum lauT kabhī na pāoge

    us āsmān chhāñv meñ

    tum vāpas kabhī na jāoge

    apnī shunavā.ī bīnā.ī ko

    lams meñ aatī tanhā.ī ko

    phir se kabhī na pāoge

    band karo

    tum guzre us āñgan ThanDak

    in talvoñ meñ

    phir se sahnā

    band karo

    ye sonā

    so kar niiñd pironā

    biite shajar ke bījoñ ko

    ab niiñd miTTī meñ

    phir bonā

    band karo

    is shajar chhāñv ke bhītar

    tum lauT kabhī na pāoge

    aur maut ujlā sūraj tum ko

    bedārī meñ

    yahāñ jalā kar ḳhaak karegā

    talvoñ ThanDak ko lab ko

    lams ko bhī tanhā har shab ko

    bedārī meñ

    yahāñ jalā kar ḳhaak karegā

    sonā

    so kar niiñd meñ khonā

    band karo

    tum ḳhvāb hālat meñ ab ronā

    band karo

    tum lauT kabhī na pāoge

    sona

    so kar nind mein khona

    band karo

    ye band karo

    apne bachpan ko

    baat baat par

    ghairon ki shunawai mein

    phir bona

    band karo

    tum lauT kabhi na paoge

    us aasman ki chhanw mein

    tum wapas kabhi na jaoge

    apni shunawai binai ko

    lams mein aati tanhai ko

    phir se kabhi na paoge

    band karo

    tum guzre us aangan ki ThanDak

    in talwon mein

    phir se sahna

    band karo

    ye sona

    so kar nind pirona

    bite shajar ke bijon ko

    ab nind ki miTTi mein

    phir bona

    band karo

    is shajar ki chhanw ke bhitar

    tum lauT kabhi na paoge

    aur maut ka ujla suraj tum ko

    bedari mein

    yahan jala kar KHak karega

    talwon ki ThanDak ko lab ko

    lams ko bhi tanha har shab ko

    bedari mein

    yahan jala kar KHak karega

    sona

    so kar nind mein khona

    band karo

    tum KHwab ki haalat mein ab rona

    band karo

    tum lauT kabhi na paoge

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now