koDon ki saza pane wale pahle shaKHs ke nam
koDon ki saza pane wale pahle shaKHs ke nam
Neelma Naheed Durrani
MORE BYNeelma Naheed Durrani
tū mere daur kā iisā hai
jis ne qaum ke saare gunāhoñ
saarī burā.iyoñ saarī sazāoñ
ko apne kañdhe pe uThā kar kuuḌe khaa.e
ham sab chor haiñ
ham sab zaanī
ham sab rishvat-ḳhor luTere
phir sab ke hisse kī sazā
tum ne kyuuñ paa.ī
aur ham chāroñ or khaḌe
terā tamāshā dekh rahe the
jaise tum ne jurm kiyā thā
aur ham saare pārsā the
tu mere daur ka isa hai
jis ne qaum ke sare gunahon
sari buraiyon sari sazaon
ko apne kandhe pe uTha kar kuDe khae
hum sab chor hain
hum sab zani
hum sab rishwat-KHor luTere
phir sab ke hisse ki saza
tum ne kyun pai
aur hum chaaron or khaDe
tera tamasha dekh rahe the
jaise tum ne jurm kiya tha
aur hum sare parsa the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.