koh-e-himala
ai himāla terī azmat kā bayāñ mumkin nahīñ
jis kā hai sartāj tū hindostāñ kī hai zamīñ
terī ūñchā.ī ke aage jhuktā hai arsh-e-barīñ
hai ulul-'azmī tirī mash.hūr-e-ālam bil-yaqīñ
hai bulandī se tirī vābasta 'sūfī' shān-e-hind
terī azmat meñ na aane deñge farq arkān-e-hind
ai himala teri azmat ka bayan mumkin nahin
jis ka hai sartaj tu hindostan ki hai zamin
teri unchai ke aage jhukta hai arsh-e-barin
hai ulul-'azmi teri mashhur-e-alam bil-yaqin
hai bulandi se teri wabasta 'sufi' shan-e-hind
teri azmat mein na aane denge farq arkan-e-hind
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.