koi aashiq kisi mahbuba se!
gulshan-e-yād meñ gar aaj dam-e-bād-e-sabā
phir se chāhe ki gul-afshāñ ho to ho jaane do
umr-e-rafta ke kisī taaq pe bisrā huā dard
phir se chāhe ki farozāñ ho to ho jaane do
jaise begāne se ab milte ho vaise hī sahī
aao do chaar ghaḌī mere muqābil baiTho
garche mil-baiTheñge ham tum to mulāqāt ke baa'd
apnā ehsās-e-ziyāñ aur ziyāda hogā
ham-suḳhan hoñge jo ham donoñ to har baat ke biich
an-kahī baat kā mauhūm sā parda hogā
koī iqrār na maiñ yaad dilā.ūñgā na tum
koī mazmūn vafā kā na jafā kā hogā
gard-e-ayyām kī tahrīr ko dhone ke liye
tum se goyā hoñ dam-e-dīd jo merī palkeñ
tum jo chāho to suno aur jo na chāho na suno
aur jo harf kareñ mujh se gurezāñ āñkheñ
tum jo chāho to kaho aur jo na chāho na kaho
gulshan-e-yaad mein gar aaj dam-e-baad-e-saba
phir se chahe ki gul-afshan ho to ho jaane do
umr-e-rafta ke kisi taq pe bisra hua dard
phir se chahe ki farozan ho to ho jaane do
jaise begane se ab milte ho waise hi sahi
aao do chaar ghaDi mere muqabil baiTho
garche mil-baiThenge hum tum to mulaqat ke ba'd
apna ehsas-e-ziyan aur ziyaada hoga
ham-suKHan honge jo hum donon to har baat ke bich
an-kahi baat ka mauhum sa parda hoga
koi iqrar na main yaad dilaunga na tum
koi mazmun wafa ka na jafa ka hoga
gard-e-ayyam ki tahrir ko dhone ke liye
tum se goya hon dam-e-did jo meri palken
tum jo chaho to suno aur jo na chaho na suno
aur jo harf karen mujh se gurezan aankhen
tum jo chaho to kaho aur jo na chaho na kaho
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 617)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.