koi dil ki chahat se majbur hai
koī dil kī chāhat se majbūr hai
jo bhī hai vo zarūrat se majbūr hai
koī maane na maane magar jān-e-man
kuchh tumheñ chāhiye kuchh hameñ chāhiye
chhup ke takte ho kyuuñ sāmne aao jī
ham tumhāre haiñ ham se na sharmāo jī
ye na samjho ki ham ko ḳhabar kuchh nahīñ
sab udhar hī udhar hai idhar kuchh nahīñ
tum bhī bechain ho ham bhī betāb haiñ
jab se āñkheñ milīñ donoñ be-ḳhvāb haiñ
ishq aur mushk chhupte nahīñ haiñ kabhī
is haqīqat se vāqif haiñ ham tum sabhī
apne dil kī lagī ko chhupāte ho kyuuñ
ye mohabbat kī ghaḌiyāñ gañvāte ho kyuuñ
pyaas bujhtī nahīñ hai nazāre binā
umr kaTtī nahīñ hai sahāre binā
koī maane na maane magar jān-e-man
kuchh tumheñ chāhiye kuchh hameñ chāhiye
koi dil ki chahat se majbur hai
jo bhi hai wo zarurat se majbur hai
koi mane na mane magar jaan-e-man
kuchh tumhein chahiye kuchh hamein chahiye
chhup ke takte ho kyun samne aao ji
hum tumhaare hain hum se na sharmao ji
ye na samjho ki hum ko KHabar kuchh nahin
sab udhar hi udhar hai idhar kuchh nahin
tum bhi bechain ho hum bhi betab hain
jab se aankhen milin donon be-KHwab hain
ishq aur mushk chhupte nahin hain kabhi
is haqiqat se waqif hain hum tum sabhi
apne dil ki lagi ko chhupate ho kyun
ye mohabbat ki ghaDiyan ganwate ho kyun
pyas bujhti nahin hai nazare bina
umr kaTti nahin hai sahaare bina
koi mane na mane magar jaan-e-man
kuchh tumhein chahiye kuchh hamein chahiye
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 428)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.