koi KHwab KHwab sa fasla
la-e-zard par
koī hamd hai ki gila
kaho
mirī piilī aañkh meñ
bujhte ḳhuuñ kā
alaav hai ki tilā
kaho
mire dast-o-bāzū
meñ aaj bhī
koī lams qaid hai
aur siine kī
be-vaqārī
ke andarūñ
koī harf apnā hī said hai
ki jise rasā.ī
na mil sakī
ye mirī jhijhak kī
burīd hai ki sila
kaho
kabhī ek baat na kah sakūñ
kabhī ab ki chīḳh
mujhe chāhiye vahī
duud duud sā
ek qurb ke darmiyāñ
koī ḳhvāb ḳhvāb sā
fāsla
koī aaj mujh se
vo baat pūchhe
ki jis ke ma.anī-e-dūr
jāntā huuñ maiñ ab
ki hazār sho.aloñ
kī raakh par
kisī buuñd aañsū
ke sail meñ
ye gañvā.e rishtoñ
kā sard phuul khilā
kaho
lab-e-zard par
koī hamd hai ki gila
kaho!
la-e-zard par
koi hamd hai ki gila
kaho
meri pili aankh mein
bujhte KHun ka
alaw hai ki tila
kaho
mere dast-o-bazu
mein aaj bhi
koi lams qaid hai
aur sine ki
be-waqari
ke andarun
koi harf apna hi said hai
ki jise rasai
na mil saki
ye meri jhijhak ki
burid hai ki sila
kaho
kabhi ek baat na kah sakun
kabhi ab ki chiKH
mujhe chahiye wahi
dud dud sa
ek qurb ke darmiyan
koi KHwab KHwab sa
fasla
koi aaj mujh se
wo baat puchhe
ki jis ke mani-e-dur
jaanta hun main ab
ki hazar shoalon
ki rakh par
kisi bund aansu
ke sail mein
ye ganwae rishton
ka sard phul khila
kaho
lab-e-zard par
koi hamd hai ki gila
kaho!
- Book : Kulliyat-e-bani (Pg. 205)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.