koi ojhal duniya hai
lamha lamha roz-marra zindagī ke saath hai
ek lamha jo kisī aaise jahāñ kī zindagī kā haath hai
jis meñ maiñ rahtā nahīñ jis meñ koī rahtā nahīñ
jis meñ koī din nahīñ hai raat kā pahrā nahīñ
jis meñ suntā hī nahīñ koī na koī baat hai
roz-marra zindagī se yuuñ guzartā hai kabhī
saath le jaatā hai guzrī umr ke hisse kabhī
jo basar ab tak huā us ko ġhalat kartā huā
aur hī ik zindagī se āshnā kartā huā
jo gumāñ tak meñ na thā us ko dikhā jaatā huā
vahm tak jis kā na thā us vaqt ko laatā huā
phir chalā jaatā hai apne asl ke āsār meñ
aur ham masrūf ho jaate haiñ phir
apne roz-o-shab ke kārobār meñ
lamha lamha roz-marra zindagi ke sath hai
ek lamha jo kisi aaise jahan ki zindagi ka hath hai
jis mein main rahta nahin jis mein koi rahta nahin
jis mein koi din nahin hai raat ka pahra nahin
jis mein sunta hi nahin koi na koi baat hai
roz-marra zindagi se yun guzarta hai kabhi
sath le jata hai guzri umr ke hisse kabhi
jo basar ab tak hua us ko ghalat karta hua
aur hi ek zindagi se aashna karta hua
jo guman tak mein na tha us ko dikha jata hua
wahm tak jis ka na tha us waqt ko lata hua
phir chala jata hai apne asl ke aasar mein
aur hum masruf ho jate hain phir
apne roz-o-shab ke karobar mein
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 718)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.