koi rahbar koi sathi koi apna na mila
meñ vo kashtī huuñ kabhī jis ko kinārā na milā
le liyā apnī javānī kā sahārā maiñ ne
jab mujhe qaum ke hāthoñ kā sahārā na milā
ho ke majbūr jahannam ko basāyā maiñ ne
jab mujhe mandir-o-masjid meñ Thikānā na milā
kal hiqārat se jo kahte the bhikāran mujh ko
aaj kahte haiñ ki gulshan meñ nayā phuul khilā
koī samjhā na merī ruuh ko ḳhāmosh pukār
sab samajhte rahe chaltā ho sikka mujh ko
chand lamhe to guzar jā.eñge achchhe-ḳhāse
jis ne dekhā usī andāz se dekhā mujh ko
kheltī hai mirī rag rag se ye paapī duniyā
de ke kāġhaz ke khilaune mujhe bahlātī hai
merī majrūh javānī kī shikasta kashtī
kitne biphre hue tūfānoñ se Takrātī hai
merī āġhosh ko firdaus samajhne vaalo
tum ko ma.alūm hai kis tarah se maiñ jitnī huuñ
chand chāñdī ke khanakte hue sakūñ ke tale
raat phir apnī javānī kā lahū piitī huuñ
gandī naalī meñ use pheñk diyā jā.egā
vo kalī jo abhī ma.asūm hai be-parvā hai
merī bachchī merī bachchī bhī tavā.if hogī
saañp kī tarah ye ehsās mujhe dastā hai
kal kisī qaum ke ḳhādim ne sahārā na diyā
aaj kis muñh se ye kahte ho ki bad-kār huuñ maiñ
maiñ tumhāre hī to kirdār kā ā.īna huuñ
kaun kahtā hai ki paapī huuñ gunāhgār huuñ maiñ
mein wo kashti hun kabhi jis ko kinara na mila
le liya apni jawani ka sahaara main ne
jab mujhe qaum ke hathon ka sahaara na mila
ho ke majbur jahannam ko basaya main ne
jab mujhe mandir-o-masjid mein Thikana na mila
kal hiqarat se jo kahte the bhikaran mujh ko
aaj kahte hain ki gulshan mein naya phul khila
koi samjha na meri ruh ko KHamosh pukar
sab samajhte rahe chalta ho sikka mujh ko
chand lamhe to guzar jaenge achchhe-KHase
jis ne dekha usi andaz se dekha mujh ko
khelti hai meri rag rag se ye papi duniya
de ke kaghaz ke khilaune mujhe bahlati hai
meri majruh jawani ki shikasta kashti
kitne biphre hue tufanon se Takraati hai
meri aaghosh ko firdaus samajhne walo
tum ko malum hai kis tarah se main jitni hun
chand chandi ke khanakte hue sakun ke tale
raat phir apni jawani ka lahu piti hun
gandi nali mein use phenk diya jaega
wo kali jo abhi masum hai be-parwa hai
meri bachchi meri bachchi bhi tawaif hogi
sanp ki tarah ye ehsas mujhe dasta hai
kal kisi qaum ke KHadim ne sahaara na diya
aaj kis munh se ye kahte ho ki bad-kar hun main
main tumhaare hi to kirdar ka aaina hun
kaun kahta hai ki papi hun gunahgar hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.