koi rang dil pe chaDha nahin
mirī jaan
dasht-e-sulūk meñ
mujhe jis maqām pe chhoḌ kar
ye sifāl-e-rābta toḌ kar
zarā aag lene ga.e the tum
maiñ rukā huā huuñ usī jagah
sar-e-mū bhī aage baḌhā nahīñ
mirī jaan
mujh pe ye baar haiñ
mire aa.ine kā ġhubār haiñ
ye tumhāre reshmī taar haiñ
ye tumhārī sozan-e-sīm hai
ye mirī vo saada galīm hai
koī phuul jis pe kaḌhā nahīñ
mirī jaan
tum se nahīñ gila
ye nasīb kā hai mo.āmla
mire vaqt hī meñ likhā na thā
ki tumhāre ḳhirka-e-ḳhās kā
koī rañg dil pe chaḌhā nahīñ
meri jaan
dasht-e-suluk mein
mujhe jis maqam pe chhoD kar
ye sifal-e-rabta toD kar
zara aag lene gae the tum
main ruka hua hun usi jagah
sar-e-mu bhi aage baDha nahin
meri jaan
mujh pe ye bar hain
mere aaine ka ghubar hain
ye tumhaare reshmi tar hain
ye tumhaari sozan-e-sim hai
ye meri wo sada galim hai
koi phul jis pe kaDha nahin
meri jaan
tum se nahin gila
ye nasib ka hai moamla
mere waqt hi mein likha na tha
ki tumhaare KHirka-e-KHas ka
koi rang dil pe chaDha nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.