koi zindagi thi guman si
kyā koī ḳhabar aa.e
zindagī ke tarkash meñ
jitne tiir baaqī the
merī be-dhyānī se
dil kī ḳhush-gumānī se
saaz baaz karte hī
ruuh meñ utar aa.e
dhund itnī gahrī hai
kuchh patā nahīñ chaltā
ḳhvāb ke ta.āqub meñ
kaun se zamānoñ se
kitne āsmānoñ se
ham guzar ke ghar aa.e
fasl-e-gul kī bāteñ bhī
ab kahāñ raheñ mumkin
umr kī kahānī meñ
aisī be-zamīnī meñ
aisī lā-makānī meñ
sirf itnā mumkin hai
dhaḌkanoñ kī gintī meñ
aglā moḌ muḌte hī
āḳhirī safar aa.e
kya koi KHabar aae
zindagi ke tarkash mein
jitne tir baqi the
meri be-dhyani se
dil ki KHush-gumani se
saz baz karte hi
ruh mein utar aae
dhund itni gahri hai
kuchh pata nahin chalta
KHwab ke taaqub mein
kaun se zamanon se
kitne aasmanon se
hum guzar ke ghar aae
fasl-e-gul ki baaten bhi
ab kahan rahen mumkin
umr ki kahani mein
aisi be-zamini mein
aisi la-makani mein
sirf itna mumkin hai
dhaDkanon ki ginti mein
agla moD muDte hi
aaKHiri safar aae
- Book : Quarterly Tasteer Lahore (Pg. 169)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Roon No.1 1st Floor, Awan Palaza, Shadman Market (7,8, October 98 To March 1999)
- Edition : 7,8, October 98 To March 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.