komal jazbe
mohabbat
hamāre diloñ meñ aksar ubhartī hai
us se lutf-andoz hote raho
paḌosiyoñ kā ḳhulūs
ek phuul hai
us kī mahak meñ tumhārā bhī hissa hai
rishta ek ta.alluq hai
aur ta.alluq
hameñ zinda rahne meñ madad detā hai
jazbe chāñd kā haala haiñ
unheñ mahsūs karo
apnī uñgliyoñ kī poroñ se
unheñ sahlāte raho
ehtiyāt se
salīqe se
jazboñ ko ḳhurcho mat
qal.ī utar jā.egī
mohabbat
hamare dilon mein aksar ubharti hai
us se lutf-andoz hote raho
paDosiyon ka KHulus
ek phul hai
us ki mahak mein tumhaara bhi hissa hai
rishta ek talluq hai
aur talluq
hamein zinda rahne mein madad deta hai
jazbe chand ka haala hain
unhen mahsus karo
apni ungliyon ki poron se
unhen sahlate raho
ehtiyat se
saliqe se
jazbon ko KHurcho mat
qali utar jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.