korana angrez-parasti
rahā vo jirgā jise char ga.ī hai añgrezī
so vaañ ḳhudā kī zarūrat na ambiyā darkār
vo aañkh miich ke bar-ḳhud ġhalat bane aise
ki asia kī har ik chiiz par paḌī dhutkār
jo poshishoñ meñ hai poshish to pas-darīda-coat
savāriyoñ meñ savārī to dum-kaTā rahvār
jo ardalī meñ hai kuttā to haath meñ ik bed
bajāte jaate haiñ siiTī sulag rahā hai sigār
vo apne-āp ko samjhe hue haiñ gentleman
aur apnī qaum ke logoñ ko jānte haiñ gavāñr
na kuchh adab hai na aḳhlāq ne ḳhudā-tarsī
ga.e haiñ un ke ḳhayālāt sab samundar paar
vo apne zo.am meñ liberal haiñ yā radical haiñ
magar haiñ qaum ke haq meñ ba-sūrat-e-aġhyār
na india meñ rahe vo na vo bane english
na un ko charch meñ honor na masjidoñ meñ baar
na koī alam na san.at na kuchh hunar na kamāl
tamām qaum ke sar par savār hai adbār
raha wo jirga jise char gai hai angrezi
so wan KHuda ki zarurat na ambiya darkar
wo aankh mich ke bar-KHud ghalat bane aise
ki asia ki har ek chiz par paDi dhutkar
jo poshishon mein hai poshish to pas-darida-coat
sawariyon mein sawari to dum-kaTa rahwar
jo ardali mein hai kutta to hath mein ek bed
bajate jate hain siTi sulag raha hai sigar
wo apne-ap ko samjhe hue hain gentleman
aur apni qaum ke logon ko jaante hain gawanr
na kuchh adab hai na aKHlaq ne KHuda-tarsi
gae hain un ke KHayalat sab samundar par
wo apne zoam mein liberal hain ya radical hain
magar hain qaum ke haq mein ba-surat-e-aghyar
na india mein rahe wo na wo bane english
na un ko charch mein honor na masjidon mein bar
na koi alam na sanat na kuchh hunar na kamal
tamam qaum ke sar par sawar hai adbar
- Book : intekhab-e-sukhan (Pg. 52)
- Author : Ibne Kanwal
- Publication : Kitabi Duniya (2005-2008)
- Edition : 2005-2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.