koyal
ai chait meñ aane vaalī koyal
mutlaq khultā nahīñ tirā raaz
taa.ir tujh ko kahe mirā dil
yā jism se ḳhālī koī āvāz
kis ke ġham meñ hai terī kū kū
batlā hai kaun terā dilbar
phirtī jo Daal Daal hai tū
kis ko tū DhūñDhtī hai āḳhir
jangal jangal ye terī parvāz
āḳhir kis kī talāsh meñ hai
tujh ko hai soz se magar saaz
kaisī pur-dard hai tirī lai
ḳhilqat soī paḌī hai aur jab
saare taa.ir haiñ āshiyāñ meñ
terī par us ghaḌī se har shab
kaTtī hai bhor tak fuġhāñ meñ
lekin nahīñ dard-mañd ik tū
hai terā sharīk ek nāshād
terī hai nisf shab se kū kū
us kī shab bhar hai āh-o-fariyād
din bhar tujh ko hai āfiyat par
us ko dam bhar nahīñ hai rāhat
din bhar rahtā hai saḳht muztar
shab bhar us par hai ik qayāmat
phirtī hai tū mulk mulk is par
tujh ko itnā ġham-o-alam hai
jā hī na sake jo ghar se bāhar
us par kaisā batā sitam hai
lekin ye jaan kar ki tū bhī
kartī hai kisī ke ġham meñ fariyād
is dard bharī sadā ko terī
suntā hai paḌā 'azīm' nāshād
ai chait mein aane wali koyal
mutlaq khulta nahin tera raaz
tair tujh ko kahe mera dil
ya jism se KHali koi aawaz
kis ke gham mein hai teri ku ku
batla hai kaun tera dilbar
phirti jo Dal Dal hai tu
kis ko tu DhunDhti hai aaKHir
jangal jangal ye teri parwaz
aaKHir kis ki talash mein hai
tujh ko hai soz se magar saz
kaisi pur-dard hai teri lai
KHilqat soi paDi hai aur jab
sare tair hain aashiyan mein
teri par us ghaDi se har shab
kaTti hai bhor tak fughan mein
lekin nahin dard-mand ek tu
hai tera sharik ek nashad
teri hai nisf shab se ku ku
us ki shab bhar hai aah-o-fariyaad
din bhar tujh ko hai aafiyat par
us ko dam bhar nahin hai rahat
din bhar rahta hai saKHt muztar
shab bhar us par hai ek qayamat
phirti hai tu mulk mulk is par
tujh ko itna gham-o-alam hai
ja hi na sake jo ghar se bahar
us par kaisa bata sitam hai
lekin ye jaan kar ki tu bhi
karti hai kisi ke gham mein fariyaad
is dard bhari sada ko teri
sunta hai paDa 'azim' nashad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.