Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh agar hai to mile

Kishwar Naheed

kuchh agar hai to mile

Kishwar Naheed

MORE BYKishwar Naheed

    ḳhvāb meñ aa.e mujhe mujh se milā.e

    mujhe sairābī-e-dīdār se gulzār kare

    ḳhvāb vo ḳhvāb ki ho jis tamāzat fusūñ-zād

    ḳhvāb vo ḳhvāb ki ban jaa.e shikast-e-be-dād

    kattha.ī rañg ghule surma.ī shaam meñ aise ki shafaq

    ḳhuun āñchoñ se dahak kar phaile

    āte-jāte hue logoñ tag-o-tāz bhī

    andeshoñ se anjān lage

    jaage ḳhadshe bhī ḳhadd-o-ḳhāl tamannā se huuñ mab.hūt

    har ik uzlat-e-jāñ shauq shamshīr liye

    phail ke sāhil-e-pāyāb ko ġhārat kar de

    marqad-e-hīla-e-be-sūd miTe

    kuchh agar hai to mile

    koī gar hai to chalā aa.e mujhe mujh se milā.e

    mujhe sairābī-e-dīdār se gulzār kare

    KHwab mein aae mujhe mujh se milae

    mujhe sairabi-e-didar se gulzar kare

    KHwab wo KHwab ki ho jis tamazat ka fusun-zad

    KHwab wo KHwab ki ban jae shikast-e-be-dad

    katthai rang ghule surmai sham mein aise ki shafaq

    KHun ki aanchon se dahak kar phaile

    aate-jate hue logon ki tag-o-taz bhi

    andeshon se anjaan lage

    jage KHadshe bhi KHadd-o-KHal tamanna se hun mabhut

    har ek uzlat-e-jaan shauq ki shamshir liye

    phail ke sahil-e-payab ko ghaarat kar de

    marqad-e-hila-e-be-sud miTe

    kuchh agar hai to mile

    koi gar hai to chala aae mujhe mujh se milae

    mujhe sairabi-e-didar se gulzar kare

    Source :
    • Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 402)
    • Author : Munavvar Jameel
    • Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
    • Edition : 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now