kuchh aisa hai jo abhi khoya nahin hai
nā jaane kyā hai
magar us ke kho jaane kā ehsās is qadar gahrā hai
shāyad vo abhī milā bhī nahīñ hai
kuchh bahut apnā jo merā nahīñ hai
magar us ke kho jaane kā ehsās is qadar gahrā hai
ehsās jo muskurāte hue āñkhoñ meñ aañsū le aa.e
aur sarshārī ke lamhoñ meñ gahrī udāsī kā rañg bhar jaa.e
va.ada kiyā thā pyaar sadā ham ik duuje se karte raheñge
par jānte haiñ ham ki ik din ham nahīñ raheñge
rok sakeñge na ruk sakeñge
haqīqat yahī duniyā kī hai
phir bhī dil kyoñ ġhamgīñ hai
kuchh aisā hai jo abhī khoyā nahīñ hai
na jaane kya hai
magar us ke kho jaane ka ehsas is qadar gahra hai
shayad wo abhi mila bhi nahin hai
kuchh bahut apna jo mera nahin hai
magar us ke kho jaane ka ehsas is qadar gahra hai
ehsas jo muskuraate hue aankhon mein aansu le aae
aur sarshaari ke lamhon mein gahri udasi ka rang bhar jae
wada kiya tha pyar sada hum ek duje se karte rahenge
par jaante hain hum ki ek din hum nahin rahenge
rok sakenge na ruk sakenge
haqiqat yahi duniya ki hai
phir bhi dil kyon ghamgin hai
kuchh aisa hai jo abhi khoya nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.