kuchh der pahle nind se
maiñ jin ko chhoḌ aayā thā shanāsā.ī kī bastī ke vo saare rāste āvāz dete haiñ
nahīñ mālūm ab kis vāste āvāz dete haiñ
lahū meñ ḳhaak uḌtī hai
badan ḳhvāhish-ba-ḳhvāhish Dah rahā hai
aur nafas kī āmad-o-shud dil kī nā-hamvāriyoñ par bain kartī hai
vo saare ḳhvāb ek ik kar ke ruḳhsat ho chuke haiñ jin se āñkheñ jāgtī thiiñ
aur ummīdoñ ke rauzan shahr-e-ā.inda meñ khilte the
bahut āhista āhista
añdherā dil meñ, āñkhoñ meñ, lahū meñ, bahte bahte jam gayā hai
vaqt jaise tham gayā hai
main jin ko chhoD aaya tha shanasai ki basti ke wo sare raste aawaz dete hain
nahin malum ab kis waste aawaz dete hain
lahu mein KHak uDti hai
badan KHwahish-ba-KHwahish Dah raha hai
aur nafas ki aamad-o-shud dil ki na-hamwariyon par bain karti hai
wo sare KHwab ek ek kar ke ruKHsat ho chuke hain jin se aankhen jagti thin
aur ummidon ke rauzan shahr-e-ainda mein khilte the
bahut aahista aahista
andhera dil mein, aankhon mein, lahu mein, bahte bahte jam gaya hai
waqt jaise tham gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.