kuchh roz abhi hum zinda hain
kuchh roz abhī ham zinda haiñ
kuchh roz usūloñ kī ḳhātir
ham duniyā se laḌ sakte haiñ
phir vaqt ke saath har shai meñ
tabdīlī aa jaatī hai
patthar par sabza ugtā hai
bāloñ meñ chāñdī paktī hai
ġhussa kam ho jaatā hai
bastī ke mohazzab logoñ meñ
ham sanjīda kahlāte haiñ
kuchh roz abhi hum zinda hain
kuchh roz usulon ki KHatir
hum duniya se laD sakte hain
phir waqt ke sath har shai mein
tabdili aa jati hai
patthar par sabza ugta hai
baalon mein chandi pakti hai
ghussa kam ho jata hai
basti ke mohazzab logon mein
hum sanjida kahlate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.