kulliya
ek andāz se dekhūñ to humā.ūñ tum ho
aur ik tarz kī bābar maiñ huuñ
roz-o-shab dard ke pheroñ meñ raheñ
bār-e-ġham ḳhud pe uThāne kī duāoñ ke sivā
mustajābī kā koī Dhañg na ho
tandurustī bhī koī taaq adad ho jaise
do pe taqsīm nahīñ ho saktī
mere āzār meñ jitnā bhī izāfa hogā
us qadar tum ko shifā pahuñchegī
ek andaz se dekhun to humaun tum ho
aur ek tarz ki babar main hun
roz-o-shab dard ke pheron mein rahen
bar-e-gham KHud pe uThane ki duaon ke siwa
mustajabi ka koi Dhang na ho
tandurusti bhi koi taq adad ho jaise
do pe taqsim nahin ho sakti
mere aazar mein jitna bhi izafa hoga
us qadar tum ko shifa pahunchegi
- Book : Gul-e-Dupahar (Pg. 59)
- Author : Saima Asma
- Publication : Idarah Batool, Sayyed Palaza, Firozpur Road (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.