kutiya
ḳhālid jāved ke naam
magar billī ko ronā chāhiye thā
mujhe hoshiyār kar ke hī is raat sonā chāhiye thā
ki vo ghar meñ hai
vo
yaanī mirī maut
use kuchh bhī nahīñ karnā paḌā
mujhe to sirf lamhe bhar kī is sharmindagī ne maar Daalā
vo mere haal par muñh phaaḌ kar jab hañs rahī thī
ki jab vo sāmne aa.ī
mirī āñkhoñ meñ ḳhvāboñ kī chamak thī
hathelī par davā kī goliyāñ thiiñ jin ko badlā thā savere doctor ne
aur maiñ nihāyat mutma.in thā kal ko le kar
ye manzar yuuñ nahīñ kuchh aur honā chāhiye thā
aur bahut mumkin hai hotā bhī
agar mujh ko zarā āgāh kar detī vo kutiyā
vo mirī billī
KHalid jawed ke nam
magar billi ko rona chahiye tha
mujhe hoshiyar kar ke hi is raat sona chahiye tha
ki wo ghar mein hai
wo
yani meri maut
use kuchh bhi nahin karna paDa
mujhe to sirf lamhe bhar ki is sharmindagi ne mar Dala
wo mere haal par munh phaD kar jab hans rahi thi
ki jab wo samne aai
meri aankhon mein KHwabon ki chamak thi
hatheli par dawa ki goliyan thin jin ko badla tha sawere doctor ne
aur main nihayat mutmain tha kal ko le kar
ye manzar yun nahin kuchh aur hona chahiye tha
aur bahut mumkin hai hota bhi
agar mujh ko zara aagah kar deti wo kutiya
wo meri billi
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 144)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.