kutte aur KHargosh
do ḳhargosh the pyāre pyāre
ik motī ik hiirā
motī kaale kānoñ vaalā
hiirā bhūrā bhūrā
do kuttoñ ne dekhā un ko
chain se yuuñ jo baiThā
muñh meñ ek ke paanī aayā
dūsrā fauran lapkā
chain se kone meñ baiThe the
sochte the ki jaa.eñ
sāmne ke khetoñ se do ik
gājareñ toḌ ke laa.eñ
bhāge sarpaT dekh ke kutte
donoñ hī ḳhargosh
maut nazar aatī thī un ko
aur na thā kuchh hosh
bhāgte bhāgte hiirā bolā
ye kutte haiñ shikārī
motī bolā tum pāgal ho
aql ḳharāb tumhārī
hiire ko ġhussa phir aayā
phulā ke dum vo bolā
tum ne mujh ko kyā samjhā hai
kar duuñ tum ko sīdhā
idhar vo aapas meñ laḌte the
udhar vo kutte pahuñche
donoñ ḳhargoshoñ kī jānib
donoñ kutte lapke
ḳhargoshoñ ne bahs meñ paḌ ke
haa.e jaan gañvā.ī
sach hai ba.ad meñ pachhtāne se
kis ne izzat paa.ī
do KHargosh the pyare pyare
ek moti ek hira
moti kale kanon wala
hira bhura bhura
do kutton ne dekha un ko
chain se yun jo baiTha
munh mein ek ke pani aaya
dusra fauran lapka
chain se kone mein baiThe the
sochte the ki jaen
samne ke kheton se do ek
gajaren toD ke laen
bhage sarpaT dekh ke kutte
donon hi KHargosh
maut nazar aati thi un ko
aur na tha kuchh hosh
bhagte bhagte hira bola
ye kutte hain shikari
moti bola tum pagal ho
aql KHarab tumhaari
hire ko ghussa phir aaya
phula ke dum wo bola
tum ne mujh ko kya samjha hai
kar dun tum ko sidha
idhar wo aapas mein laDte the
udhar wo kutte pahunche
donon KHargoshon ki jaanib
donon kutte lapke
KHargoshon ne bahs mein paD ke
hae jaan ganwai
sach hai baad mein pachhtane se
kis ne izzat pai
- Book : Aankh Mecholi (Pg. 9)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.