kutte
bhauñkte haiñ jo kutte
un ke sāmne koī
Daal de agar haDDī
jānte haiñ kyā hogā
yak-nigāh-o-yak-āhang
ustuḳhvāñ pe jhapTeñge
aur log dekheñge
ittihād-e-bāham kā
zahr-pāsh nazzāra
dil-ḳharāsh nazzāra
ek un kī ġhurrāhaT
ek peñtrā un kā
ek bhauñknā un kā
ek kāvish-e-paiham
raat kī ḳhamoshī meñ
jhilmilā.eñge taare
so.eñge thake haare
ik sukūn kā aalam
laḌ paḌeñge ye kutte
aur niiñd uḌā deñge
bilbilā.enge bachche
thapthapā.engī maa.eñ
bāp-bhā.ī jāgeñge
koī aadmī āḳhir
ghar se aa.egā bāhar
haath meñ asā le kar
dum dabā ke bhāgeñge
ye sukūn ke dushman
dostān-e-ahriman
bhaunkte hain jo kutte
un ke samne koi
Dal de agar haDDi
jaante hain kya hoga
yak-nigah-o-yak-ahang
ustuKHwan pe jhapTenge
aur log dekhenge
ittihad-e-baham ka
zahr-pash nazzara
dil-KHarash nazzara
ek un ki ghurrahaT
ek pentra un ka
ek bhaunkna un ka
ek kawish-e-paiham
raat ki KHamoshi mein
jhilmilaenge tare
soenge thake haare
ek sukun ka aalam
laD paDenge ye kutte
aur nind uDa denge
bilbilaenge bachche
thapthapaengi maen
bap-bhai jagenge
koi aadmi aaKHir
ghar se aaega bahar
hath mein asa le kar
dum daba ke bhagenge
ye sukun ke dushman
dostan-e-ahriman
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.