kutton ka nauha
purānī baat hai
lekin ye anhonī sī lagtī hai
banī-quddūs ke beToñ kā
ye dastūr thā
vo apnī shamshīreñ
niyāmoñ meñ na rakhte the
musallah ho ke sote the
aur un ke ḳhūb-rū gabrū
kase tīroñ kī sūrat
rāt-bhar
mish.al-ba-kaf
ḳhemoñ ke bāhar jāgte rahte
banī-quddūs ke beTe
balāoñ aur azāboñ ko
hamesha laġhzish-e-pā kā sila ginte
gunāhoñ se hazar karte
magar ik din
ki vo manhūs saa.at thī ḳharābī kī
zanān-e-nīm-uryāñ dekh kar ḳhāna-ba-doshoñ kī
kuchh aise mar-miTe
jab raat aa.ī to
banī-quddūs ke beToñ kī shamshīreñ
niyāmoñ meñ paḌī thiiñ
aur dīvāroñ pe laTkī thiiñ
vo pahlī raat thī
ḳhemoñ ke bāhar ghup-añdherā thā
fazā meñ duur tak
kuttoñ kī āvāzoñ kā nauha thā
purani baat hai
lekin ye anhoni si lagti hai
bani-quddus ke beTon ka
ye dastur tha
wo apni shamshiren
niyamon mein na rakhte the
musallah ho ke sote the
aur un ke KHub-ru gabru
kase tiron ki surat
raat-bhar
mishal-ba-kaf
KHemon ke bahar jagte rahte
bani-quddus ke beTe
balaon aur azabon ko
hamesha laghzish-e-pa ka sila ginte
gunahon se hazar karte
magar ek din
ki wo manhus saat thi KHarabi ki
zanan-e-nim-uryan dekh kar KHana-ba-doshon ki
kuchh aise mar-miTe
jab raat aai to
bani-quddus ke beTon ki shamshiren
niyamon mein paDi thin
aur diwaron pe laTki thin
wo pahli raat thi
KHemon ke bahar ghup-andhera tha
faza mein dur tak
kutton ki aawazon ka nauha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.