kuch
jis roz hamārā kuuch hogā
phūloñ kī dukāneñ band hoñgī
shīrīñ-suḳhanoñ ke harf-e-dushnām
be-mehr zabāneñ band hoñgī
palkoñ pe namī kā zikr hī kyā
yādoñ kā surāġh tak na hogā
hamvārī-e-har-nafas salāmat
dil par koī daaġh tak na hogā
pāmālī-e-ḳhvāb kī kahānī
kahne ko charāġh tak na hogā
ma.abūd is āḳhirī safar meñ
tanhā.ī ko sruḳh-rū hī rakhnā
juz tere nahīñ koī nigah-dār
us din bhī ḳhayāl tū hī rakhnā
jis aañkh ne umar bhar rulāyā
us aañkh ko be-vazū hī rakhnā
jis roz hamārā kuuch hogā
phūloñ kī dukāneñ band hoñgī
jis roz hamara kuch hoga
phulon ki dukanen band hongi
shirin-suKHanon ke harf-e-dushnam
be-mehr zabanen band hongi
palkon pe nami ka zikr hi kya
yaadon ka suragh tak na hoga
hamwari-e-har-nafas salamat
dil par koi dagh tak na hoga
pamali-e-KHwab ki kahani
kahne ko charagh tak na hoga
mabud is aaKHiri safar mein
tanhai ko sruKH-ru hi rakhna
juz tere nahin koi nigah-dar
us din bhi KHayal tu hi rakhna
jis aankh ne umar bhar rulaya
us aankh ko be-wazu hi rakhna
jis roz hamara kuch hoga
phulon ki dukanen band hongi
- Book : Mahr-e-Do Neem (Pg. 26)
- Author : iftikhaar aarif
- Publication : Educational Publishing House (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.