kya dhoka dene aaogi
ham banjāre dil vaale haiñ
aur paiñTh meñ Dere Daale haiñ
tum dhokā dene vaalī ho?
ham dhokā khāne vaale haiñ
is meñ to nahīñ sharmāogī?
kyā dhokā dene āogī?
sab maal nikālo, le aao
ai bastī vaalo le aao
ye tan kā jhūTā jaadū bhī
ye man kī jhūTī ḳhushbū bhī
ye taal banāte aañsū bhī
ye jaal bichhāte gesū bhī
ye larzish Dolte siine kī
par sach nahīñ bolte siine kī
ye hoñT bhii, ham se kyā chorī
kyā sach-much jhūTe haiñ gorī?
in ramzoñ meñ in ghātoñ meñ
in va.adoñ meñ in bātoñ meñ
kuchh khoT haqīqat kā to nahīñ?
kuchh mail sadāqat kā to nahīñ?
ye saare dhoke le aao
ye pyāre dhoke le aao
kyuuñ rakkho ḳhud se duur hameñ
jo daam kaho manzūr hameñ
in kāñch ke mankoñ ke badle
haañ bolo gorī kyā logī?
tum ek jahān kī ashrafiyāñ?
yā dil aur jaan kī ashrafiyāñ?
hum banjare dil wale hain
aur painTh mein Dere Dale hain
tum dhoka dene wali ho?
hum dhoka khane wale hain
is mein to nahin sharmaogi?
kya dhoka dene aaogi?
sab mal nikalo, le aao
ai basti walo le aao
ye tan ka jhuTa jadu bhi
ye man ki jhuTi KHushbu bhi
ye tal banate aansu bhi
ye jal bichhate gesu bhi
ye larzish Dolte sine ki
par sach nahin bolte sine ki
ye honT bhi, hum se kya chori
kya sach-much jhuTe hain gori?
in ramzon mein in ghaton mein
in wadon mein in baaton mein
kuchh khoT haqiqat ka to nahin?
kuchh mail sadaqat ka to nahin?
ye sare dhoke le aao
ye pyare dhoke le aao
kyun rakkho KHud se dur hamein
jo dam kaho manzur hamein
in kanch ke mankon ke badle
han bolo gori kya logi?
tum ek jahan ki ashrafiyan?
ya dil aur jaan ki ashrafiyan?
- Book : Is Basti ke ik Kooche Men (Pg. 68)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.