kya gul-badani hai
kis darja fusūñ-kār vo allāh ġhanī hai
kyā mauja-e-tābindagī o sīm-tanī hai
andāz hai yā jazba-e-gardūñ-zadanī hai
āvāz hai yā barbat-e-īmāñ-shiknī hai
jañgal kī siyah raat hai yā zulf ghanī hai
kyā gul-badanī gul-badanī gul-badanī hai
ye lai hai ki khiltī huī ġhunche kī kamānī
mahkā huā ye tan hai ki ye raat kī raanī
lahje kī ye rau hai ki barastā huā paanī
larzish meñ ye mizhgāñ hai ki pariyoñ kī kahānī
ye surḳhi-e-lab hai ki aqīq-e-yamanī hai
kyā gul-badanī gul-badanī gul-badanī hai
mehrāb hai ruḳhsār ke partav se zar-afshāñ
zulfoñ meñ shab-e-tār hai āñkhoñ meñ charāġhāñ
mehñdī kī sajāvaT ki hathelī pe gulistāñ
yā halqa-e-ushshāq meñ hai chehra-e-tābāñ
yā ḳhātam-e-tābinda pe hiire kī kanī hai
kyā gul-badanī gul-badanī gul-badanī hai
siine pe ye pallū hai ki ik mauj-e-hayābī
māthā hai ki ik sub.h kā partav hai shahābī
āñkheñ haiñ ki bahke hue do mast sharābī
paikar hai ki insān ke sāñche meñ gulābī
gesū haiñ ki gul-bāzī-e-mushk-e-ḳhutanī hai
kyā gul-badanī gul-badanī gul-badanī hai
kākul meñ daraḳhshāñ hai ye peshānī-e-raqsāñ
yā sāya-e-zulmāt meñ hai chashma-e-haivāñ
hāthoñ pe hai ye chehra ki hai rehl pe qur.āñ
aur chehra-e-gul-rañg meñ ġhaltāñ o ḳharoshāñ
raḳhshandagī-e-ḳhūn-e-rag-e-yāsimanī hai
kyā gul-badanī gul-badanī gul-badanī hai
ishve haiñ ki ik fauj khaḌī luuT rahī hai
chhal-bal hai ki chhātī ko zamīñ kuuT rahī hai
añgḌā.ī kā ḳham hai ki dhanak TuuT rahī hai
mukhḌā hai ki parbat pe kiran phuuT rahī hai
qāmat hai ki barnā.ī-e-sarv-e-chamanī hai
kyā gul-badanī gul-badanī gul-badanī hai
tan meñ hai vo ḳhushbū ki haiñ gul sar-ba-garebāñ
chehre pe vo surḳhī hai ki hairān gulistāñ
vo chaal meñ hai loch ki shāḳheñ haiñ pashemāñ
aur la.al-e-guhar-bār pe vo naġhma hai ġhaltāñ
vo naġhma ki ik valvala-e-sho.ala-zanī hai
kyā gul-badanī gul-badanī gul-badanī hai
gardan meñ chañdan-hār hai hāthoñ meñ hai kañgan
umDe hue ishve haiñ garajtā huā jauban
jaulāñ hai javānī ke dhundalke meñ laḌakpan
korā hai jo pinDā to junūñ-ḳhez hai ubTab
gul-rañg shalūkā hai qabā nārdanī hai
kyā gul-badanī gul-badanī gul-badanī hai
ḳhalvat meñ vo taslīm hai jalvat meñ tahakkum
sāhil pe subuk-mauj safīne meñ talātum
hujre meñ ḳhamoshī hai shabistāñ meñ takallum
ḳheme meñ tunuk aah ḳhayāloñ meñ tarannum
āġhosh meñ talvār hai ghūñghaT meñ banī hai
kyā gul-badanī gul-badanī gul-badanī hai
har naqsh-e-qadam par hai fidā tāj-e-kayānī
har gaam meñ hai chashma-e-kausar kī ravānī
har ek bun-e-mū se ubaltī hai javānī
uThtī hai masāmāt se yuuñ bhaap sī dhānī
goyā koī mahkī huī chādar sī tanī hai
kyā gul-badanī gul-badanī gul-badanī hai
kis darja fusun-kar wo allah ghani hai
kya mauja-e-tabindagi o sim-tani hai
andaz hai ya jazba-e-gardun-zadani hai
aawaz hai ya barbat-e-iman-shikni hai
jangal ki siyah raat hai ya zulf ghani hai
kya gul-badani gul-badani gul-badani hai
ye lai hai ki khilti hui ghunche ki kamani
mahka hua ye tan hai ki ye raat ki rani
lahje ki ye rau hai ki barasta hua pani
larzish mein ye mizhgan hai ki pariyon ki kahani
ye surKHi-e-lab hai ki aqiq-e-yamani hai
kya gul-badani gul-badani gul-badani hai
mehrab hai ruKHsar ke partaw se zar-afshan
zulfon mein shab-e-tar hai aankhon mein charaghan
mehndi ki sajawaT ki hatheli pe gulistan
ya halqa-e-ushshaq mein hai chehra-e-taban
ya KHatam-e-tabinda pe hire ki kani hai
kya gul-badani gul-badani gul-badani hai
sine pe ye pallu hai ki ek mauj-e-hayabi
matha hai ki ek subh ka partaw hai shahabi
aankhen hain ki bahke hue do mast sharabi
paikar hai ki insan ke sanche mein gulabi
gesu hain ki gul-bazi-e-mushk-e-KHutani hai
kya gul-badani gul-badani gul-badani hai
kakul mein daraKHshan hai ye peshani-e-raqsan
ya saya-e-zulmat mein hai chashma-e-haiwan
hathon pe hai ye chehra ki hai rehl pe quran
aur chehra-e-gul-rang mein ghaltan o KHaroshan
raKHshandagi-e-KHun-e-rag-e-yasimani hai
kya gul-badani gul-badani gul-badani hai
ishwe hain ki ek fauj khaDi luT rahi hai
chhal-bal hai ki chhati ko zamin kuT rahi hai
angDai ka KHam hai ki dhanak TuT rahi hai
mukhDa hai ki parbat pe kiran phuT rahi hai
qamat hai ki barnai-e-sarw-e-chamani hai
kya gul-badani gul-badani gul-badani hai
tan mein hai wo KHushbu ki hain gul sar-ba-gareban
chehre pe wo surKHi hai ki hairan gulistan
wo chaal mein hai loch ki shaKHen hain pasheman
aur lal-e-guhar-bar pe wo naghma hai ghaltan
wo naghma ki ek walwala-e-shoala-zani hai
kya gul-badani gul-badani gul-badani hai
gardan mein chandan-haar hai hathon mein hai kangan
umDe hue ishwe hain garajta hua jauban
jaulan hai jawani ke dhundalke mein laDakpan
kora hai jo pinDa to junun-KHez hai ubTab
gul-rang shaluka hai qaba nardani hai
kya gul-badani gul-badani gul-badani hai
KHalwat mein wo taslim hai jalwat mein tahakkum
sahil pe subuk-mauj safine mein talatum
hujre mein KHamoshi hai shabistan mein takallum
KHeme mein tunuk aah KHayalon mein tarannum
aaghosh mein talwar hai ghunghaT mein bani hai
kya gul-badani gul-badani gul-badani hai
har naqsh-e-qadam par hai fida taj-e-kayani
har gam mein hai chashma-e-kausar ki rawani
har ek bun-e-mu se ubalti hai jawani
uThti hai masamat se yun bhap si dhani
goya koi mahki hui chadar si tani hai
kya gul-badani gul-badani gul-badani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.